How To Type In Hindi

Hindi Me Type Karna Bahut hi Aasan Hai Vo Bhi bina Kisi Hindi Keyboard ya Bina Hindi Typing Sikhe Bhi Aap hindi me type kar sakte hai. Ji ha yah bilkul sach hai aapko bas vaise hi likhna hai jaise ki yaha likha hua hai or software use apne aap hindi me change kar dega, Uske liye aapko free online software uplabdha hai, to bas hindi me type kijiye or apni bhasha me hi kam kijiye. Hindi me type karne ke liye neeche diye gaye link per click kare.

1. Type in Hindi / Write in Hindi

2. Type in Hindi in Android Mobile Phone

3. हिन्दी बोले और अपने आप टाइप हो जाएगा

Hindi me type karne ki kai sare tarike hai uper diya gaya tarika sabse assan or free bhi hai, eske alwa bhi kai sare tariko se hindi me typing ki ja sakti hai, hindi me kai prakar ke keyboard layout prachaln me hai or alag alag font bhi hindi typing ke liye use me liye jate hai, aap neeche diye gaye link se hindi keyboard layout ke bare me jankari prapt kar sakte hai.

Hindi Keyboard Layout

Hindi Typing Ke exam ke liye aapko hindi typing keyboard per hi practise karni hogi, Hindi typing exam me keyboard ka layout or font fix hota hai aapko usi me type karna hota hai, hindi typing exam me english se hindi banae wale software kam me nahi aate hai, esilye yadi aapko hindi typing ka exam dena ho to aap neech link se hindi typing sikh sakte hai or aapki typing speed bhi check kar sakte hai.

Hindi Typing Tutor

Hindi Typing Test

1. Hindi Font Display Nahi Ho To kya Kare

Aksar aap hindi me likha pad nahi pate kyuki vaha question mark sign (prashnavachak chinh) ya box (varg ke jaise dibbe) dikhayi dete hai. Eska karna yahi ki aap ke computer system me Hindi ke Unicode Font installed nahi hai, Hindi ka sabse popular unicode font Mangal font hai Jise aap neeche diye huye link se download kar sakte hai. agar aap koi website open kare or aapko hindi font nahi dikhai de to aapko aapke browser ki settings change karni paregi.

Download Hindi Font

2. Save Hindi File in Notepad

Jab aap mangal hindi font me likha ya type kiya hua save katre hai to vapas file open karne per aapko varg jaise dibbe ya question mark sign najar aate hai to es problem ka solution yah hai ki aap jab bhi hindi unicode font me likha hiua save kare tan uski encoding unicode kar de neech diye gaye image me dhekhe

 

Es file ko aapko unicode me save karna hoga tabhi dubara open karne per aapko hindi me hi dikhayi dega.

3. Hindi Anuvad Karna

Yadi aap kisi bhi sentence ya paragraph ka hindi me anuvad karna chate hai to website per aapko online tool diya hua hai jisse aap hindi me anuvad yani ke hindi translation kar sakte hai, yah software machine translation per kary karta hai, eske sath hi hi esme hindi se english me bhi anuvad kiya ja sakta hai, to aaj se english language aapke liye koi bhadha nahi hai ab aap aasani se english to hindi or hindi to english translation kar sakte hai.

English (Angreji) se Hindi Me Anuvad

Hindi se Angreji (English) Me Anuvad

4. Unicode Hindi Font ko Krutidev Me Badlana

Yadi aap unicode hindi font ko krutidev ya phir eska ulta yani ke, Kruti dev font ko unicode me badlana chahte hai to aap yah kam badi aasani se kar sakte hai eske liye neeche diye gaye link per click kare. es prakar aapne chahe jo font me text likha ho aap bina dubara likhe hi use dusre font me parivartit kar sakte hai.

Unicode to Krutidev Converter

Krutidev to Unicode Converter

5. Download Hindi English Dictionary

Hindi se English ka online shabdkosh jisme aap kisi bhi english word ka hindi meaning dekh sakte hai. Ye online dictionary hai jise aap neeche diye gaye link per click karke hindi meaning ya english meaning definationdekh  kar sakte hai, english to hindi dictionary free me work karti hai jaha aapko english meaning dalna hai dictionary use hindi arth bata degi, Or aap chahe to kisi bhi Hindi shabd ka English me kya kahte hai search kar sakte hai. Yani ab aap hindi or english dono ke arth or meaning dekh sakte hai. Yah dekhne ke liye neeche diye gaye link per jaye

English to Hindi Shabdkosh & Hindi to English Shabdkosh Free Download

6. Hindi Typing Software Free Me Download Kare

Hindi me type karne ke liye hame kuch softwares ki jarurat hoti hai. Ye software free me download kiye ja sakte hai ye kai prakar ke hote hai jaise ki - English me type kare or vo Hindi me convert ho jaye. Aur Remington Gail hindi typing software or inscript typing software bhi free me download kiya ja sakta hai In sabhi ko free me download karne ke liye necche diye gaye link per click kare:

Hindi Typing Software Free Download